aashiq hue to ishq mein hoshyar kyun na the
hum in ke madah-KHwan sar-e-bazar kyun na the
han jab sitam ko ain karam kah rahe the log
hum bhi sharik-e-garmi-e-guftar kyun na the
jab chal raha tha waqt pe jadu nigah ka
ek hum asir-e-chashm-e-fusun-kar kyun na the
ab kya shahid-e-naz bane phir rahe hain log
marne ka shauq tha to sardar kyun na the
'waris' ye shairi sam-e-qatil se kam nahin
aap is bala-e-jaan se KHabar-dar kyun na the
Ghazal
Aashiq hue to ishq mein hoshyar kyun na the
Varis Kirmani