aashiq hue hain jab se hum KHud se ja rahe hain 
be-dard nasehon ne nahaq sata rahe hain 
fasl-e-bahaar mein hum kyun-kar na hon diwane 
gul chaak kar gareban dhumen macha rahe hain 
phir aawne ka wada tum kar gae ho hum se 
pyare tumhaari rah par aankhen laga rahe hain 
ai abr tu barasta aur hi taraf chala ja 
umDe hain gham ke baadal so hum thama rahe hain 
dil khol Tuk jo barsen arz o sama Dubawen 
mizhgan-e-tar ke zalim wo abr chha rahe hain 
ye ishq nin hai bar-aks ja dekh le chaman mein 
aa KHush-nayan adam se aankhen dikha rahe hain
        Ghazal
Aashiq hue hain jab se hum KHud se ja rahe hain
Ishq Aurangabadi

