اردو हिंदी
Aashiq-e-zar hun juz ishq mujhe kaam nahin | Shaahi Shayari
aashiq-e-zar hun juz ishq mujhe kaam nahin

Ghazal

Aashiq-e-zar hun juz ishq mujhe kaam nahin

Shah Aasim

;

aashiq-e-zar hun juz ishq mujhe kaam nahin
talib-e-kufr nahin tabe-e-islam nahin

gham nahin kuchh bhi KHarabi se hai hum maston ko
gardish-e-jam hai ye gardish-e-ayyam nahin

qatl-e-ashiq ke liye ek ada bas hai teri
bismil-e-ishq ko kuchh hajat-e-samsam nahin

kya hua abr bhi hai mai bhi hai saghar bhi hai
hai ye sab hech agar saqi-e-gulfam nahin

dekh kar mujh ko tujhe kyun hai tahayyur naseh
mashrab-e-ishq hai ye mazhab-e-islam nahin

KHana-e-naz hai wo balki charagh-e-murda
dil ke aaine mein gar ru-e-dil-aram nahin

ishq-e-KHadim se hua hai dil-e-'asim' mamur
is liye din-o-duniya se use kaam nahin