اردو हिंदी
Aashiq-e-soKHta-dil KHatt-e-sanam donon ek | Shaahi Shayari
aashiq-e-soKHta-dil KHatt-e-sanam donon ek

Ghazal

Aashiq-e-soKHta-dil KHatt-e-sanam donon ek

Qasim Ali Khan Afridi

;

aashiq-e-soKHta-dil KHatt-e-sanam donon ek
jis tarah suniye juda shadi-o-gham donon ek

donon baatin mein agar ek hain lekin koi
aab-o-atish nahin rakhta hai baham donon ek

hai juda sajde ki ja hindu musalman ki magar
fahm walon ke tain dair-o-haram donon ek

kuhl karte hain hum aankhon mein barabar dono
surma-e-kor ko aur KHak-e-qadam donon ek

jab phansa zulf mein ja dil na raha nang-o-haya
taq par rakhiye wahan nang-o-sharam donon ek

bar-e-gham hijr paDa sar pe kisi ke us dam
KHak mein dije mila aql-o-faham donon ek

ewaz-e-hijr na lun aish tamam aalam ka
hai azal se mujhe farman-e-hakam donon ek

dil mein arman na raha baqi jo chaha so kiya
sair duniya ki bhi aur sair-e-adam donon ek

yar aaghosh mein apne hai muhayya har-dam
bas hai ye mere tain jah-o-hasham donon ek

aarzu 'qasim-ali' dil mein nahin kuchh lekin
chahiye apne tain fazl-o-karam donon ek