aashiq-e-gesu-e-duta hun main
aap apne liye bala hun main
kya shikayat agar na jaane yar
KHud nahin jaanta ki kya hun main
misl-e-gul hans ke main kabhi na khila
ghuncha san zist se KHafa hun main
main to ai jaan hun bure se bura
mera ye munh kahun bhala hun main
dil hai aaina-e-do-ru apna
dost dushman se ek sa hun main
tera aashiq hun ai but-e-rana
ghair hun main ki aashna hun main
mujh ko taslim hai jafa-e-yar
har tarah taba-e-raza hun main
mauj-e-nikhat mera janaza hai
kushta-e-KHanjar-e-ada hun main
phir chubha dil mein KHar gham hai 'waqar'
phir kisi gul ka mubtala hun main

Ghazal
Aashiq-e-gesu-e-duta hun main
Kishan Kumaar Waqaar