aashiq bipat ke mare rote hue jidhar jaan 
pani sin us taraf ki rahen tamam bhar jaan 
mar kar tere laban ki surKHi ke tain na pahunche 
har chand sai kar kar yaqut-o-lal-o-marjaan 
jangal ke bich wahshat ghar mein jafa o kulfat 
ai dil bata ki tere mare hum ab kidhar jaan 
ek arz sab sin chhup kar karni hai hum kun tum sin 
raazi ho gar kaho to KHalwat mein aa ke kar jaan
 
        Ghazal
Aashiq bipat ke mare rote hue jidhar jaan
Abroo Shah Mubarak

