aaseb-sifat ye meri tanhai ajab hai
har samt teri yaad ki shahnai ajab hai
ek bichhDe shanasa se mulaqat ke ba-wasf
bikhre hue lamhon ki shakebai ajab hai
ab silsila-e-ranj-o-mehan TuT bhi jae
is bar to kuchh tarz-e-pazirai ajab hai
ab mujh pe khula apne dar-o-baam ka afsun
yun hai ki mere ghar ki ye tanhai ajab hai
suraj se utarte hain mere har-bun-e-mu par
aankhen bhi rakhun band to binai ajab hai
har din sitam-ijad hai har raat siyah-fam
yarab ye teri anjuman-arai ajab hai
pighla hua sona thi jo diwar-o-saqaf par
wo dhup ghaDi bhar mein hi kajlai ajab hai
nas nas mein phisalta hai tere qurb ka nashsha
har mauja-e-KHun-nab ki gahrai ajab hai

Ghazal
Aaseb-sifat ye meri tanhai ajab hai
Sameena Raja