aasan to na tha dhup mein sahra ka safar kuchh
ba-faiz magar milte rahe mujh ko shajar kuchh
pursish na karo mujh se mara haal na puchho
ukhDa sa zara rahta hai ji mera idhar kuchh
sailab na ho to na ho dil mein bhi talatum
pani to rahe Dub ke marne ko magar kuchh
itna hi ghani hai jo samundar to kaho wo
sahil pe baha lae kabhi lal-o-guhar kuchh
nazil hai jo ye ujla sa andhera sa faza par
mumkin hai ki is shab mein ho paiwast sahar kuchh
aawaz bhi lahrai thi halchal bhi hui thi
ek pal ko to kuchh ubhra tha aaya tha nazar kuchh
shanon ka ye KHam tujh mein nai baat hai 'saurabh'
aaina kabhi dekho rakho apni KHabar kuchh
Ghazal
Aasan to na tha dhup mein sahra ka safar kuchh
Saurabh Shekhar