aasan nahin hai tanha dar us ka baz karna
lazim hai pasban se ab hum ko saz karna
gar hum mushir hote allah ke to kahte
yani visal ki shab ya rab daraaz karna
us ka salam mujh se ab kya hai gardish-e-rau
tifli mein main sikhaya jis ko namaz karna
az-bas-ki KHun dil ka khata hai josh har dam
mushkil hua hai hum ko iKHfa-e-raaz karna
ba-yak-niyaz us se kyunkar koi bar aawe
aata ho sau tarah se jis ko ki naz karna
karte hain choT aaKHir ye aahuan-e-badmast
aankhon se us ki ai dil Tuk ehtiraaz karna
ai aah us ke dil mein tasir ho to jaanun
hai warna kaam kitna patthar gudaz karna
howegi subh raushan ek dam mein wasl ki shab
band-e-qaba ko apne zalim na baz karna
ai 'mushafi' hain do chiz ab yaad-gar-e-dauran
us se tu naz karna mujh se niyaz karna
Ghazal
Aasan nahin hai tanha dar us ka baz karna
Mushafi Ghulam Hamdani