اردو हिंदी
Aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahal-e-majazi | Shaahi Shayari
aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahal-e-majazi

Ghazal

Aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahal-e-majazi

Hasrat Mohani

;

aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahal-e-majazi
malum hui rah-e-mohabbat ki daraazi

kuchh lutf o nazar lazim o malzum nahin hain
ek ye bhi tamanna ki na ho shobada bazi

dil KHub samajhta hai tere harf-e-karam ko
har-chand wo urdu hai na turki hai na tazi

qaim hai na wo husn-e-ruKH-e-yar ka aalam
baqi hai na wo shauq ki hangama-nawazi

ai ishq teri fath bahar-haal hai sabit
mar kar bhi shahidan-e-mohabbat hue ghazi

kar jald hamein KHatm kahin ai gham-e-jaanan
kaam aaegi kis roz teri sina-gudazi

malum hai duniya ko ye 'hasrat' ki haqiqat
KHalwat mein wo mai-KHwar hai jalwat mein namazi