aas ke rangin patthar kab tak ghaaron mein luDhkaoge
sham Dhale in kohsaron mein apna khoj na paoge
jaane-pahchane se chehre apni samt bulaenge
qadam qadam par lekin apne sae se Takraoge
har Tile ki oT se lakhon wahshi aankhen chamkengi
mazi ki har pagDanDi par nezon mein ghir jaoge
phunkaron ka zahr tumhaare giton par jam jaega
kab tak apne honT meri jaan sanpon se daswaoge
chiKHengi bad-mast hawaen unche unche peDon mein
ruTh ke jaane wale patto kab tak wapas aaoge
jadu-nagri hai ye pyare aawazon par dhyan na do
pichhe muD kar dekh liya to patthar ke ho jaoge
Ghazal
Aas ke rangin patthar kab tak ghaaron mein luDhkaoge
Noor Bijnauri