aas husn-e-guman se TuTi
shaKH phal ke nishan se TuTi
mil gai KHak ho ke miTTi mein
inT jo bhi makan se TuTi
arz-e-ahwal na-shanason se
rag ana ki zaban se TuTi
jis pe dar-o-madar-e-kashti tha
Dor wo baadban se TuTi
masale dosti ke hal na hue
guftugu darmiyan se TuTi
dast-e-dushman se tir kya chhuTa
ek bijli kaman se TuTi
bab kirnon ke khul gae 'rasiKH'
sadd-e-zulmat azan se TuTi
Ghazal
Aas husn-e-guman se TuTi
Rasikh Irfani