aarzuon ko ana-gir nahin kar sakte
KHwab ko paon ki zanjir nahin kar sakte
kya sitam hai ki muqaddar mein likha hai sab kuchh
phir bhi hum shikwa-e-taqdir nahin kar sakte
jab bulaegi hamein maut chale jaenge
hukm aisa hai ki taKHir nahin kar sakte
ye safar wo hai ki jo chhuT gaya chhuT gaya
phir use pane ki tadbir nahin kar sakte
jang mein kaise Tikenge wo bhala hasti ki
jo kisi shaKH ko shamshir nahin kar sakte
aap to KHair baDe aadmi kahlate hain
hum to chhoTon ki bhi tahqir nahin kar sakte
sab pe pabandi usulon ki 'siya' lazim hai
suKHan-o-sher ko jagir nahin kar sakte
Ghazal
Aarzuon ko ana-gir nahin kar sakte
Siya sachdev