aarzuen na-rasai ru-ba-ru main aur tu
kya ajab qurbat thi wo bhi main na tu main aur tu
jhuTpuTa KHuni ufuq ki wusaten KHamoshiyan
fasle do peD tanha hu-ba-hu main aur tu
KHushk aankhon ke jaziron mein bagulon ka ghubar
dhaDkanon ka shor surma-dar-gulu main aur tu
barish-e-sang-e-malamat aur KHilqat shahr ki
pyar ke masum jazbon ka lahu main aur tu
ajnabi nazron ke shole har taraf phaile hue
dushman-e-jaan rah o manzil kaKH-o-ku main aur tu
nafraton ki gard rasta kaTti har moD par
ishq ki KHushbu mein uDte ku-ba-ku main aur tu
ehtiram-e-admi ehsas-e-gham marg-e-ana
aaj kis kis zaKHm ko karte rafu main aur tu
Ghazal
Aarzuen na-rasai ru-ba-ru main aur tu
Khatir Ghaznavi