aarzuen jal gain shauq-e-farawan jal gaya
bujh gaya dil zindagi ka saz-o-saman jal gaya
mausam-e-gul tha ki thi barq-e-KHizan zer-e-naqab
phul hansne bhi na pae the gulistan jal gaya
shauq-e-manzil mein junun ki garm-raftari na puchh
rah ke kanTon ki kya hasti bayaban jal gaya
jhum kar su-e-chaman aaya to kya barsa to kya
aashiyan to kab ka ai abr-e-bahaaran jal gaya
hashr ke din rahmat-e-haq ne liya aaghosh mein
zauq-e-isyan par mere zahid ka iman jal gaya
dekh 'qaisar' ye hai gulshan mein maal-e-fasl-e-gul
ghunche ghunche ka gulistan mein gareban jal gaya
Ghazal
Aarzuen jal gain shauq-e-farawan jal gaya
Qaisar Umrao Tovi