اردو हिंदी
Aarzuen hazar rakhte hain | Shaahi Shayari
aarzuen hazar rakhte hain

Ghazal

Aarzuen hazar rakhte hain

Mir Taqi Mir

;

aarzuen hazar rakhte hain
to bhi hum dil ko mar rakhte hain

barq kam-hausla hai hum bhi to
dil ko be-qarar rakhte hain

ghair hi maurid-e-inayat hai
hum bhi to tum se pyar rakhte hain

na nigah ne payam ne wada
nam ko hum bhi yar rakhte hain

hum se KHush-zamzama kahan yun to
lab o lahja hazar rakhte hain

choTTe dil ke hain butan mashhur
bas yahi e'tibar rakhte hain

phir bhi karte hain 'mir' sahab ishq
hain jawan iKHtiyar rakhte hain