اردو हिंदी
Aarzu tujhse tera bosa bhi kab mange hai | Shaahi Shayari
aarzu tujhse tera bosa bhi kab mange hai

Ghazal

Aarzu tujhse tera bosa bhi kab mange hai

Shafeeq Abbas

;

aarzu tujh se tera bosa bhi kab mange hai
harf-e-iqrar bas ek jumbish-e-lab mange hai

us ki chahat mein ajab dil ki talab ka aalam
dard jitna bhi zamane mein hai sab mange hai

ho saliqa jo zara sari tamanna bar aae
husn phir husn hai aur husn-e-talab mange hai

be-talab jaan talak saunp di jis ko wo ab
KHud se chahat ka meri kya hai sabab mange hai

kab talak KHun rulate hue manzar dekhe
nind ko aankh zara der ko ab mange hai

harf-e-izhaar taDapta hai taDapne dije
ye mohabbat hai miyan pas-e-adab mange hai

to meri jaan hai na rah dur ki ab zehn mera
kyun hai zinda ye badan mujh se sabab mange hai