aarzu raqs mein hai waqt ki aawaz ke sath
zindagi naghma-sara hai nae andaz ke sath
zindagi dekh na yun ajnabi andaz ke sath
hum ko nisbat hai teri chashm-e-fusun-saz ke sath
us ke mazkur se labrez hain naghme us ke
us ne marghub kya dil ko kis eajaz ke sath
ye haqiqat mein zamane ki KHabar rakhte hain
sahme sahme se hain jo hasrat-e-parwaz ke sath
dil hai sar-e-chashma-e-naghmat agar TuT gaya
kitne naghmat bikhar jaenge us saz ke sath
waqt ki baat hai ab koi nahin un ka waqar
jo kabhi baat bhi karte the baDe naz ke sath
kya kahen ban gae hum sab ki nazar ka markaz
us ne kya dekh liya ajnabi andaz ke sath
'arsh' jo dard mein Dube hue dil se nikle
chand shoale bhi lapakte hain is aawaz ke sath
Ghazal
Aarzu raqs mein hai waqt ki aawaz ke sath
Arsh Sahbai