aarzu rakhna mohabbat mein baDa mazmum hai
sun ki tark-e-arzu hi ishq ka mafhum hai
un nigahon ke tasadum se jo chingari uThe
ishq us ka nam hai ye ishq ka mafhum hai
ab to ye arman hai arman hi paida na hon
go samajhta hun ki ye ummid bhi mauhum hai
wo khaDe hain wo tasawwur ab tujhe main kya kahun
aankh mahw-e-did kar did se mahrum hai
ishq phir mahrumiyan nakaamiyan barbaadiyan
meri qismat mein jo likkha hai mujhe malum hai
main tujhi ko dekhta hun jalwa-farma har taraf
ma-siwa tere mere nazdik sab madum hai
zindagi ko maut hai jab zindagi KHud ho fareb
maut bhi goya fareb-e-hasti-e-mauhum hai
ishq mein 'talib' mata-e-hosh kho kar KHush to ho
us ka jo anjam hai wo bhi tumhein malum hai
Ghazal
Aarzu rakhna mohabbat mein baDa mazmum hai
Talib Baghpati