aarzu ne jis ki poron tak tha sahlaya mujhe
KHak aaKHir kar gaya us chand ka saya mujhe
ghup-andhere mein bhi us ka jism tha chandi ka shahr
chand jab nikla to wo sona nazar aaya mujhe
aankh par tinkon ki chilman honT par lohe ka qufl
ai dil-e-be-KHanaman kis ghar mein le aaya mujhe
kis qadar tha mutmain main peD ke sae-tale
chandni mujh par chhiDak kar tu ne bahkaya mujhe
main bisat-e-gul ko tarsa umr bhar 'anwar-sadid'
aaj phulon par luTa kar kyun hai taDpaya mujhe
Ghazal
Aarzu ne jis ki poron tak tha sahlaya mujhe
Anwar Sadeed