aarzu le ke koi ghar se nikalte kyun ho
panw julte hain to phir aag pe chalte kyun ho
shohraten sab ke muqaddar mein kahan hoti hain
tum ye har roz naya bhes badalte kyun ho
yun to tum aur bhi mashkuk nazar aaoge
baat karte hue ruk ruk ke sambhle kyun ho
han! tumhein jurm ka ehsas satata hoga
warna yun raaton ko uTh uTh ke Tahalte kyun ho
aur bazar se 'ghaalib' ki tarah le aao
dil agar TuT gaya hai to machalte kyun ho
tum ne pahle kabhi is baat ko socha hota
peD ki chhanw mein baiThe ho to jalte kyun ho
Ghazal
Aarzu le ke koi ghar se nikalte kyun ho
Wali Aasi