aarzu ki hama-hami aur main
dard-e-dil dard-e-zindagi aur main
mauja-e-qulzum-e-abad aur tu
chand bundon ki tishnagi aur main
raat-bhar teri rah takte rahe
tere kuche ki raushni aur main
chhup ke milte hain teri yaadon se
shab ki tanhai chandni aur main
ek hi rah ke musafir hain
be-karan raat KHamushi aur main
raat us paikar-e-KHayal ke pas
chand phulon ki boss thi aur main
ye bhi ek manzil-e-junun thi 'jalil'
warna zindan-e-agahi aur main
Ghazal
Aarzu ki hama-hami aur main
Hasan Akhtar Jaleel