aarzu jurm hai muddaa jurm hai
us faza mein ummid-e-wafa jurm hai
har taraf hain mohabbat ki majburiyan
ibtida jurm hai intiha jurm hai
zauq-e-didar par lakh pabandiyan
dekh kar phir unhen dekhna jurm hai
zindagi-bhar ki ninden uchaT jaengi
saya-e-zulf mein baiThna jurm hai
har saza ko kisi ki ata maniye
ye bhi kyun puchhiye kaun sa jurm hai
aankh uTha kar unhen dekhiye kis tarah
sar uThane ka bhi hausla jurm hai
un ke jalwon ka jab samna ho gaya
phir kisi aur ka samna jurm hai
KHamushi bhi saliqa hai fariyaad ka
un ke jaur-o-sitam par gila jurm hai
aise mahaul mein aa gae hum jahan
apne mahaul ka jaeza jurm hai
maslak-e-ishq hai pairwi-e-wafa
hikmat-o-maslihat sochna jurm hai
aagahi shart hai gumrahi ke liye
gumrahi par pata puchhna jurm hai
dawa-e-ishq hai jurm-e-awwal agar
inhiraf-e-wafa dusra jurm hai
un ki shan-e-karam kah rahi hai 'rishi'
un se ab koi bhi iltija jurm hai
Ghazal
Aarzu jurm hai muddaa jurm hai
Rishi Patialvi