aarzu jin ki hai un ki anjuman tak aa gae
nikhat-e-gul ke sahaare hum chaman tak aa gae
be-ruKHi se aap jab begana-pan tak aa gae
aaj hum bhi jurat-e-jurm-e-suKHan tak aa gae
mai-kada phir bhi ghanimat hai jahan is daur mein
ek hi markaz pe shaiKH-o-barahman tak aa gae
jal bujhe ahl-e-junun lekin kisi ko kya KHabar
kitne shoale KHud usi gul-pairahan tak aa gae
mo'atabar ho kar rahi diwangi apni 'surur'
jitne andaz-e-junun the bankpan tak aa gae
Ghazal
Aarzu jin ki hai unki anjuman tak aa gae
Suroor Barabankvi