aarzu ek nadi ho jaise
zindagi tishna-labi ho jaise
ye jawani teri chahat ke baghair
mahz ek jam-e-tahi ho jaise
kal hi bichhDe the magar lagta hai
ek sadi bit gai ho jaise
umr-bhar qarz chukaya is ka
zist banne ki bahi ho jaise
fasl chandi ki ugana sar par
waqt ki jadugari ho jaise
zulm sah kar bhi hai KHilqat KHamosh
mohr honTon pe lagi ho jaise
har taraf maut ka sannaTa hai
shahr par saDH sati ho jaise
yun hai ek moD par hairan si hayat
rasta bhul gai ho jaise
paDh ke tariKH ko yun lagta hai
ye mazalim ki sada ho jaise
rakh ka Dher hai ab hasrat-e-dil
ek dulhan jal ke mari ho jaise
sher kahta hun saliqe se 'shabab'
ye bhi aaina-gari ho jaise
Ghazal
Aarzu ek nadi ho jaise
Shabab Lalit