aarzu-e-dil-e-nakaam se Dar lagta hai
zindagani tere paigham se Dar lagta hai
phir kisi jazba-e-gum-nam se Dar lagta hai
husn-e-masum pe ilzam se Dar lagta hai
shisha-e-dil pe koi Thes na lagne pae
talKHi-e-mai se nahin jam se Dar lagta hai
jis ko aaghaz-e-mohabbat ka nahin hai ehsas
bas use ishq ke anjam se Dar lagta hai
waqt ke sath badal jati hain qadren hamdam
rah-e-pur-KHar mein aaram se Dar lagta hai
jis ne tufan-e-bala-KHez ka munh toD diya
kyun use gardish-e-ayyam se Dar lagta hai
dekh kar qasr-e-tamanna ki tabahi shayad
gulshan-e-dil ke dar-o-baam se Dar lagta hai
mehr-e-taban ki qasam gesu-e-jaanan ki qasam
subh-e-nau tujh se nahin sham se Dar lagta hai
sirf allah se Darti hai 'aziz'-e-KHasta
kya use talKHi-e-ayyam se Dar lagta hai
Ghazal
Aarzu-e-dil-e-nakaam se Dar lagta hai
Aziz Badayuni