aarzu-e-dawam karta hun
zindagi waqf-e-am karta hun
aap se iKHtilaf hai lekin
aap ka ehtiram karta hun
mujh ko taqrib se talluq kya
main faqat ehtimam karta hun
dars-o-tadris ishq mazduri
jo bhi mil jae kaam karta hun
justuju hi mera asasa hai
ja ise tere nam karta hun
han magar barg-e-zard ki surat
subh ko main bhi sham karta hun
waqt guzre pe aae ho 'aslam'
KHair kuchh intizam karta hun
Ghazal
Aarzu-e-dawam karta hun
Aslam Kolsarii