aarzu bhi to kar nahin aati
dil mein hai honTh par nahin aati
wasl ki raat ke siwa koi sham
sath le kar sahar nahin aati
chali jati hai un ke ghar meri nind
ja ke phir raat-bhar nahin aati
wo mujhe koste hain o tasir
arsh se tu utar nahin aati
pahle aati thi ai qafas walo
ab saba bhi idhar nahin aati
chup khaDe hain wo pesh-e-dawar-e-hashr
bhule hain baat kar nahin aati
kabhi aa jati thi muqaddar par
ab hansi honTh par nahin aati
are waiz Dara na tu itna
kya use darguzar nahin aati
jab tak aae na koi chand si shakl
shab-e-mah mere ghar nahin aati
hashr ke din bhi dagh daman mein
sharm ai chashm-e-tar nahin aati
kamar in ki bahut hi nazuk hai
zulf bhi ta-kamar nahin aati
gham hain rah-e-junun mein ahl-e-junun
hain magar kuchh KHabar nahin aati
aap ko apni aarsi ke siwa
achchhi surat nazar nahin aati
sharm aati hai dil mein sau sau bar
tauba lab par magar nahin aati
wa-e-qismat ki bekasi bhi 'riyaz'
ab meri qabr par nahin aati
Ghazal
Aarzu bhi to kar nahin aati
Riyaz Khairabadi