aarzu aur KHwab le jao
har amanat janab le jao
hijr hum se saha na jaega
sath apne azab le jao
kaam aaengi tajarbe ke liye
zindagi ki kitab le jao
aap se jo bhi KHar khate hain
un ki KHatir gulab le jao
har andhere mein kaam aaega
ilm ka aaftab le jao
aap ko de rahe hain dil apna
achchha hai ya KHarab le jao
ek darwesh ki hai ye kuTiya
tum mizaj-e-nawab le jao
sab ke honTon pe qufl lag jae
koi aisa jawab le jao
log chehron pe chehre rakhte hain
tum bhi koi naqab le jao
ye adab ki dukan hai sahab
jo bhi chaho KHitab le jao
jis jagah ho akal sukhe se
us jagah jal sahab le jao
dil jigar jaan sab tumhaare hain
jab bhi chaho janab le jao
ishq ki ye kitab le jao
is ka har ek bab le jao
kaise kaToge din judai ke
sath yaad-e-rabab le jao
yaad ke zaKHm ka hai ye marham
tum watan ki turab le jao
KHush rakhe aap ko KHuda har pal
muflisi ka sawab le jao
kaise kaTe hain din judai ke
har nafas ka hisab le jao
nanhe-munnon ko khelne bhi do
bojh hai ye nisab le jao
har ghalat baat bhi saha na karo
hum se thoDa itab le jao
Ghazal
Aarzu aur KHwab le jao
meenakshi jijivisha