aarti hum kya utaren husn-e-mala-mal ki
bujh gai har jot puja ke sunahre thaal ki
tum to kya dastak nahin detin hawaen tak yahan
dil hai ya sunsan kuTiya hai kisi kangal ki
dekh ai gul-pairahan tere liye pardes se
kaun laya hai hawaon ki moattar palki
phir ugane do yahan hum ko lahu ke kuchh gulab
aap ne to shahrah-e-dil bahut pamal ki
tu muqaddas aankh hai yani hasin suraj ki aankh
aur main gahri gupha wo bhi kisi patal ki
tum pilao apne honTon se agar aab-e-hayat
phenk denge hum surahi aatishin sayyal ki
gunguna kar tairta hai jis mein KHushbu ka badan
'prem' teri shairi wo jhil hai sur-tal ki
Ghazal
Aarti hum kya utaren husn-e-mala-mal ki
Prem Warbartani