اردو हिंदी
Aariz-e-shama pe nind aa gai parwanon ko | Shaahi Shayari
aariz-e-shama pe nind aa gai parwanon ko

Ghazal

Aariz-e-shama pe nind aa gai parwanon ko

Zaheer Kashmiri

;

aariz-e-shama pe nind aa gai parwanon ko
KHwab se ab na jagae koi diwanon ko

un ko malum hai rindon ki tamanna kya hai
aks-e-ruKH Dal ke bhar dete hain paimanon ko

ai dil-e-zar udhar chal ye tazabzub kya hai
wo to aankhon pe uTha lete hain mehmanon ko

wo bhi mutlashi-e-yak-jalwa-e-gum-gashta hain
hum ne nazdik se dekha hai pari-KHanon ko

ho gae saf ayan ruh-o-badan ke nasur
raushni mar gai aaj ke insanon ko

un ke har chaak se tanwir-e-wafa phuTegi
jashn-e-farda mein sajaenge garebanon ko

qalam-e-dar se tahrir-e-rasan se hum ne
ek naya moD diya ishq ke afsanon ko

josh dariya ke qarain ye batate hain 'zahir'
mauj kha jaegi sahil ke shabistanon ko