aarastgi baDi jila hai
patthar ki baghal mein aaina hai
mujh ko yahi aap se gila hai
puchha na kabhi ki haal kya hai
allah re husn ki lagawaT
daud raqib aur ya hai
khoTe hain tilai rang wale
us sone ko barha kasa hai
baalon ke ghaTa tale hain jhaale
meinh motiyon ka baras raha hai
taqdir mein aag lagi gai hai
aalam se jigar jala-bhuna hai
piri mein hai harf zindagi par
jo qad KHamida hai wo la hai
pite hain sharab ma-badaulat
saqi bat-e-mai nahin huma hai
main dauD raha hun us ke pichhe
jo sae se apne bhagta hai
bimar hun KHub-suraton ka
husn-e-yusuf meri dawa hai
barik kamar hai kya hi us ki
talwar mein baal aa gaya hai
bhawon par jo dupaTTe ka hai lachka
paTTha talwar par chara hai
kamre ka khula hai dar sar-e-rah
mashuq baghal mein hai ye kya hai
kyun hote ho 'bahr' tasht-az-baam
chilman chhoDwa do samna hai
Ghazal
Aarastgi baDi jila hai
Imdad Ali Bahr