aapsi baaton ko aKHbar nahin hone diya
hum ne ye kamra hawa-dar nahin hone diya
bad-gumani ko kiya chae pila kar ruKHsat
nashte ka bhi talabgar nahin hone diya
dil ke zaKHmon ki KHabar hone na di ashkon ko
gham ka aankhon se sarokar nahin hone diya
saKHt lafzon mein bhi deti hai maza baat us ki
us ne lahje ko dil-azar nahin hone diya
rakh diye honTon pe ungli ki tarah honT us ne
ek shikwa bhi numudar nahin hone diya
us ne nadan ho, kah kar hamein uksaya tha
umr bhar us ko samajhdar nahin hone diya
chahaten pain hain 'mannan' wafaon ke tufail
jazba-e-ishq ko ayyar nahin hone diya
Ghazal
Aapsi baaton ko aKHbar nahin hone diya
Mannan Bijnori