aapka jab se aana hua
KHushnuma aashiyana hua
un ki baaten ghazal ho gain
apna dil shairana hua
raat ki kya kahen raat bhar
un ka KHwabon mein aana hua
ishq kije to mat sochiye
kis gali aana jaana hua
dil ka panchhi wahin jaega
jis jagah aab-o-dana hua
jis ke bin ek pal bojh tha
us ko dekhe zamana hua
qad se saya baDa ho gaya
sham ka jiyun jiyun aana hua
chain ek pal nahin hai 'ratan'
jab se dil ka lagana hua

Ghazal
Aapka jab se aana hua
Kirti Ratan Singh