aap to ghabra gae betabi-e-dil dekh kar
kya kahenge banda-parwar ahl-e-mahfil dekh kar
main to hun parda-e-aghosh-e-tufan-e-fana
KHud Dubo deta hun kashti qurb sahil dekh kar
ek nigah-e-lutf ki muhtaj hai tamir-e-ishq
aap kyun ghabra gae TuTa hua dil dekh kar
wo bhi 'naKHshab' be-KHudi-e-dil se aasan ho gaya
dard jo baKHsha gaya tha hum ko mushkil dekh kar
Ghazal
Aap to ghabra gae betabi-e-dil dekh kar
Nakhshab Jaarchawi