aap se wabastagi kya KHub hai
aap hain to zindagi kya KHub hai
aap se mil kar mile dil ko sukun
aap ki maujudgi kya KHub hai
aap ne paigham bheja hai hamein
aap ki ye dil-lagi kya KHub hai
aap hain bas aap hain bas aap hain
aalam-e-diwangi kya KHub hai
sar jhukaya to uThaya hi nahin
aashiqon ki bandagi kya KHub hai
chandni jugnu sitare aur kiran
nur ki surat giri kya KHub hai
aap ko lagta hai 'faruq' ajnabi
aap ki bhi sadgi kya KHub hai

Ghazal
Aap se wabastagi kya KHub hai
Farooq rahman