aap se jhuk ke jo milta hoga
us ka qad aap se uncha hoga
nukta-chinon pe jo hansta hoga
us ko apne pe bharosa hoga
wo jo viran phira karta hai
us ke sar mein koi sahra hoga
tum na samjhoge meri baat magar
sochne wala samajhta hoga
wo jo marne pe tula hai 'aKHtar'
us ne ji kar bhi to dekha hoga

Ghazal
Aap se jhuk ke jo milta hoga
Wakil Akhtar