aap se hai muqabla dar-pesh
hai ajab dil ko marhala dar-pesh
kitni ayyar hai teri duniya
hai isi se moamla dar-pesh
hal tumhaare baghair kaise ho
zindagi ka hai masala dar-pesh
ishq wale hain mubtala-e-gham
husn walon ka hai bhala dar-pesh
ru-ba-ru hai wo KHub-ru 'jami'
hai qayamat ka marhala dar-pesh

Ghazal
Aap se hai muqabla dar-pesh
Rahman Jami