aap par jab se tabiat aai
roz-o-shab mujh pe qayamat aai
hae barbaad kiya hai kya kya
ras hum ko na mohabbat aai
ai hawas-kar teri nazron mein
kab bhala meri haqiqat aai
zindagi bit gai hai yunhi
jab bhi aai shab-e-furqat aai
zulm go us ne bahut bar kiye
lab pe mere na shikayat aai
teri KHatir se jahan ko chhoDa
phir bhi tujh ko na mohabbat aai
dil-e-betab hai taDpa kya kya
jab kabhi yaad wo surat aai
in fasanon mein jahan ke akasr
kuchh nazar mujh ko haqiqat aai
aap masum bahut the pahle
aap ko kab se shararat aai
ai 'zaki' ishq ke hathon hum par
jab bhi aai to musibat aai
Ghazal
Aap par jab se tabiat aai
Zaki kakorvi