aap kyun chheDte hain dipak rag
shahar mein lag rahi hai KHud hi aag
uTh raha hai harim-e-dil se dhuan
luT raha hai suhaganon ka suhag
shoala-saman hui hai tariki
kaise jage hain raushni ke bhag
jaane kis kis hawas ko denge janam
botalon ke uDa chuke jo kag
lag mein thi kabhi lagaw ki shan
ab labon mein lagaw ki hai lag
kaf-e-dariya ka dekhiye anjam
be-sabab laiye na munh jhag
jate lamhe duhai dete hain
nae atwar ke tariq pe jag
muskuraata hai khet sarson ka
toDti hain jo ganw waliyan sag
sarkanDon mein hai kenchuli aTki
kahin lahra ke chhup gaya hai nag
chand par jo kamand Dalte hain
mujh se kahte hain zindagi bhi tyag

Ghazal
Aap kyun chheDte hain dipak rag
Qayyum Nazar