aap ko mujh se mohabbat bhi nahin
aur nahin kahne ki jurat bhi nahin
jate hain mahfil se meri jaiye
rokna kuchh meri fitrat bhi nahin
munhasir jis pe ho meri zindagi
tu ne ki aisi mohabbat bhi nahin
bewafa ki ham-rahi se faeda?
aur ab chalne ki himmat bhi nahin
jo kabhi diwar pe laTkai thi
ab tere kamre ki zinat bhi nahin
main kisi ko chhoD dun tere liye
tujh se kuchh aisi to qurbat bhi nahin
'KHushtar' is mehndi lage hathon ki ab
jaane kyun pahli si rangat bhi nahin
Ghazal
Aapko mujhse mohabbat bhi nahin
Mansoor Khushtar