aap ko mujh se KHafa mujh se KHafa dekhta hun
phuTti kyun nahin aankhen meri kya dekhta hun
roz is ruh ki viraniyan khil uThti hain
roz is dasht mein ek aabla-pa dekhta hun
gul khilate hain naya roz ye rishte-nate
roz hi KHun ka ek rang naya dekhta hun
ek sach ye hai jo duniya ko baratne pe khula
ek sach wo jo kitabon mein likha dekhta hun
aap hain sab se jo az-rah-e-zarurat hi mile
aur main aap mein bhi KHu-e-wafa dekhta hun
aankh bhar kar main jise dekh na paya tha 'nadim'
KHud ko us KHwab ke malbe mein daba dekhta hun
Ghazal
Aapko mujhse KHafa mujhse KHafa dekhta hun
Nadeem Fazli