aap ko apna banate hue Dar lagta hai
dil ki duniya bhi basate hue Dar lagta hai
lag na jae kahin in phulon ko duniya ki nazar
dagh-e-dil apne dikhate hue Dar lagta hai
ho na jae kahin hangama-e-mahshar barpa
apni rudad sunate hue Dar lagta hai
tapish-e-husn na parwana bana de mujh ko
us ke nazdik bhi jate hue Dar lagta hai
gharq ho jae na duniya-e-tasawwur apni
ashk-e-gham aankh mein late hue Dar lagta hai
shaghl tha dasht-nawardi ka kabhi ai 'taban'
ab gulistan mein bhi jate hue Dar lagta hai
Ghazal
Aapko apna banate hue Dar lagta hai
Anwar Taban