aap ki sangat ka ye andaz man ko bha gaya
gardish-e-dauran mein hum ko muskurana aa gaya
TuT kar barsa jo baadal ghup andhera chha gaya
tha ujala din ka lekin raushni ko kha gaya
qatilon ne jism mera reza reza kar diya
KHun bikhra rang ban kar wadiyan chamka gaya
aag se to bach gaya main maut aani thi magar
bachte bachte phir bhi main pani se dhoka kha gaya
hum mohabbat mein shikasta-pa hue to gham nahin
rafta-rafta dosto tum ko to chalna aa gaya
Ghazal
Aap ki sangat ka ye andaz man ko bha gaya
Purshottam Abbi Azer""