aap ki nazron mein shayad is liye achchha hun main
dekhta sunta hun sab kuchh phir bhi chup rahta hun main
is liye mujh se KHafa rahti hai aksar ye zamin
aasman ko sar pe le kar ghumta phirta hun main
KHak mein milna hi ashkon ka muqaddar hai magar
kya ye kam hai us ki palkon par abhi Thahra hun main
KHar hi ko ho mubarak KHar ki umr-e-daraaz
gul-sifat hun bas jawan hote hi mar jata hun main
baadalon ko shayad is ka koi andaza nahin
ain dariya mein hun lekin kis qadar pyasa hun main
gham-zada dil ko sitam se dur rakhne ke liye
barha KHud apne hi dil par sitam Dhata hun main
kyun wo mere samne aane se Darta hai 'wali'
KHamushi fitrat hai meri ek aaina hun main
Ghazal
Aap ki nazron mein shayad is liye achchha hun main
Waliullah wali