aap ke izn-e-mulaqat se ji Darta hai
apne badle hue haalat se ji Darta hai
aap tajdid-e-mohabbat ka na dije paigham
aap ki chashm-e-inayat se ji Darta hai
kal ye aalam tha ki har baat pe hans dete the
ab ye aalam hai ki har baat se ji Darta hai
ham-nashino zara kuchh der mere sath raho
aaj tanhai ke lamhat se ji Darta hai
dil mein jab sozish-e-gham aag laga deti hai
chashm-e-afsurda ki barsat se ji Darta hai
chahta hun ki ye dil shahr-e-nigaran ho magar
itni rangini-e-jazbaat se ji Darta hai
zaKHm kuchh aur sulag jate hain dal ke 'shahid'
ab to is taron bhari raat se ji Darta hai
Ghazal
Aap ke izn-e-mulaqat se ji Darta hai
Shahid Akhtar