aap karishma-saz hue hain hosh mein hai diwana bhi
husn-e-ada hai nam usi ka hairan hai parwana bhi
waqt ne aisi karwaT badli phul khile basti ujDi
wahshat ka wo zor baDha aabaad hua virana bhi
raat ki mahfil-arai ka pichhle pahar ahwal na puchh
shama ki lau bhi sard paDi thi rakh hua parwana bhi
tanhai se ghabra kar hum kya kya shikwe karte the
lekin jab se aap mile hain dost hua begana bhi
dam ke dam mein duniya badli bhiD chhaTi kohram uTha
chalte chalte sans ruki aur KHatm hua afsana bhi
main bhi sajda kar lun 'nami' lekin dil ko dhaDkan hai
kya ye wahi kaba to nahin jo kal tak tha but-KHana bhi
Ghazal
Aap karishma-saz hue hain hosh mein hai diwana bhi
Abid Nami