aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho
zindagi aisi na jina jis ka mustaqbil na ho
aaj ke shahzade sab kuchh chahte hain is tarah
saKHti-e-mausam bhi kam ho rah bhi mushkil na ho
tera sarmaya teri daulat yahi ek chiz hai
ek pal kirdar ki tamir se ghafil na ho
us ne KHushiyon ke KHazane wa kiye mujh par magar
be-tahasha raushni ki tirgi hasil na ho
apni qurbat ke kuchh aise naqsh dil par chhoD de
wo bhi chahe to mohabbat ka asar zail na ho
ye samajh lo be-hisi us ka muqaddar ban chuki
ai 'anis' apni ghalat-kari pe jo qael na ho
Ghazal
Aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho
Anis Dehlavi