aap jo kuchh qarar karte hain
kahiye hum e'tibar karte hain
ye ki yan main hun wae un ka haal
mujh pe jo iftiKHar karte hain
par farishte ke us jagah jal jaen
jis taraf hum guzar karte hain
go kuhan-dam hain hum ai sayyaad
lek anqa shikar karte hain
si to lene do jeb naseh ko
ab ki hum tar tar karte hain
dil ki dil jaane hum to apna kaam
ab ke khewe mein par karte hain
gir raha hai rawaq-e-wahm ghafil
fikr-e-naqsh-o-nigar karte hain
sar gaya nama-bar ka wan ai wae
yan qadam hum shumar karte hain
dil-tahi kya kare hai tin pahlu
hum to aap hi kanar karte hain
chaliye qaem ki raftagan apna
der se intizar karte hain
Ghazal
Aap jo kuchh qarar karte hain
Qayem Chandpuri