aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin
lekin aisa to na kahiye ki wafa kuchh bhi nahin
aap kahiye to nibhate chale jaenge magar
is talluq mein aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin
main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar sakta
ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin
kaise jaana hai kahan jaana hai kyun jaana hai
hum ki chalte chale jate hain pata kuchh bhi nahin
hae is shahr ki raunaq ke main sadqe jaun
aisi bharpur hai jaise ki hua kuchh bhi nahin
phir koi taza suKHan dil mein jagah karta hai
jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin
ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhun
man leta hun ki us shaKHs mein tha kuchh bhi nahin
main ne duniya se alag rah ke bhi dekha 'jawwad'
aisi munh-zor udasi ki dawa kuchh bhi nahin
Ghazal
Aap jaison ke liye isMein rakha kuchh bhi nahin
Jawad Sheikh